Sone ki talash mai- - iTMasterSupport.Tk

Welcome To iTMasterSupport ! In This Website You Will Know About All Latest Update Tips And Tricks About Facebook, Computer, Mobile, Web, Android, Food, ...

All Type Of Tips And Tricks

Thursday 8 March 2018

Sone ki talash mai-

                     Sone ki talash mai



Hello friends mai Vishal Rawat aaj apke liye Robin Sharma ki story "Sone Ki Talash mai" bta rha hu.

Andrew Carneige apne bachpan kai dino mai hi scotland se america chle gye. unhone chote mote kamo se shuruwat ki, aur akhirkar america kai stell bnane ki sabse badi company kai malik ban gye. ek asa waqt aya jaab unke liye 43 crorepati kam karte the. crore rupee is jamane mai bhi bahut hote hai lekin in 1920 kai aaspass to unki bahut jyada kimat thi. 

    kisi ne Carnegie se pucha,"aap logo se kaise pesh ate hai?" unhone jawab diya "logo se pesh ana kafi had tak sone ki khudai karne jaisa hi hai. humko ek tola sona khod nikalne kai liye kayi tan mitti hatani padti hai. lejin khudai karte waqt hamara dhyan mitti par nhi, balki sone par hota hai.

    Andrew Carneige kai jawab mai ek bahut mehatpurn sandesh chipa hai. ho skta hai ki kisi insan, ya kisi halat mai koi aachi baat saaf toor par na dikhai de rhi ho. ese halat mai hme use gehrai mai jake talashna hoga.
    
       hamara maksad kya hai? sona talashna. agar hum insan, ya kisi cheez mai kamiya dudhenge, to humko dhero kamiya dekhai degi. lekin hme kis cheez ki talash hai sone ki, ya mitti ki? kamiya dudhne wale to swarg mai bhi kamiya nikal denge. adikhtar logo ko whi milta hai, jinki unhe talash hoti hai.

Aasha karta hu aapko ye story "Sone Ki Talash Mai"
Pasand ayi hogi. Agar aapko pasand ayi to neeche comment karke bataye aur apne friends kai sath bhi share kare.

Thankyou for visiting.


No comments:

Post a Comment

Total Pageviews