Gabban janwaron ki dekh bhaal
last two months pregnant animals k next lectation k liye bohat eham hotay hain. Is me janwar ziada chara nai kha sakta Lekin uski zarooriat milking walay animal k barabar hoti hain q k uski feed mein se bohat ziada hissa peda honay wala bacha le jata hai,
Is liye uski diet me kuch batein jinka bohat ziada khyal rakhna chahiye wo ye hain
Kam khorak mein bharpoor nutritional values,
Sabz charay ki jagah Rhodes grass ya alfalfa ki hay 7-8 kg dalein,
Vitamins or minerals ka istemal, vitamin ADEK or minerals mixture adhi miqdar me dein,
Toxin binders ka istemal is liye zaroori hai k agar janwar KO toxicity hai kisi bhi qism ki to parturition se pehle khatam ho jaye,
Fats ka istemal bypass fat se kerwayein q k parturition k baad kuch din tak janwar ka khana peena routine se kam rehta hai, agar body me fats reserves hon ge to he janwar apni peak performance achi de sakay ga.
3-4 kg low protein Vanda daily dein
Gurr ya sheera ka istemal jari rakhein
In shaa Allah janwar behtreeb performance de ga
Ager samj ni lagi to comment karen
No comments:
Post a Comment