No Free Lunch - iTMasterSupport.Tk

Welcome To iTMasterSupport ! In This Website You Will Know About All Latest Update Tips And Tricks About Facebook, Computer, Mobile, Web, Android, Food, ...

All Type Of Tips And Tricks

Monday 12 March 2018

No Free Lunch

No Free Lunch:- 


Hello friends mai Vishal Rawat aaj apke liye Robin Sharma ki story "No free Lunch" bta rha hu.

ek raja ne apne salahkaro Ko bula kar unse bete itihas ki sari samajdhari bhari bate likhne kai liye kha, taki wah unhe aane wali pediyo tak pahucha ska. Unhone kafi mahnat kar samajdhari bhari bato par kayi sari kitabe likhi, aur unhe raja kai samne pesh kiya. Raja ko wo kitabe kafi bhari lgi . Unhone salahkaro se kha log inhe pad nhi payenge, isliye inhe chota karo. Salahkaro ne fir kam kiya, aur keval ek kitab leke aye. Raja ko wah bhi kafi muskil lgi. Salahkaro ne use aur chota kiya. Is barr wah keval ek chapter leke aye. Raja ko wah bhi kafi lamba lga. Tab salahkaro ne use aur chota kar keval ek panne pesh kiya. Lekin raja ko ek panna bhi lamba lga . Akirkar wah raja kai pass ek vakya likh kai laye aur raja usse santush ho gya. Raja ne kha ki agar aane wali pediyo tak samajdhari ka keval ek word  pahuchana ho to wah yeh wakya hoga, " bhojan muft mai nhi milta."

     "Bhojan muft mai nhi milta" ka matlab darhasal yah hai Ki hum kuch diye bina kuch paa bhi nhi skte . Dusre lafjo mai khe,to jo hum lagate hai, badle mai wahi pate hai, agar hmne kisi yojna mai jyada lgat nhi lagai hai , to humko jyada fayda bhi nhi milega.
        Besak , har samaj mai ese muftkhor bhi hote hai, jo kuch bina hi pane ki ummed karte hai.

Aasha karta hu aapko ye story "No Free Lunch"
Pasand ayi hogi. Agar aapko pasand ayi to neeche comment karke bataye aur apne friends kai sath bhi share kare.


Thankyou for visiting.




No comments:

Post a Comment

Total Pageviews